Wednesday, October 9, 2024

Safar Ki Dua Ki Fazilat: Safar Mein Hifazat

Safar Ki Dua Ka Taruf

Jab bhi koi musafir Safar ke liye jaye toh usse chahiye ki WO ALLAH subhanu tala se se madad mange taki musafir ka safar hifazat aur rehnumai me guzre .Safar ki dua har musalman ke liye bahot fazilat wala hai kyunki uska Safar me aane wali bala dur ho sake aur uska Safar achchhe se guzre .

Safar Ki Dua Ka Maqsad

Hame apne safar ko hifazatnumma rakhne ke liye allah ka raza shamil hone ki bahot zarurat hoti hai . toh hame yeh hona chahiye ki  ham apne safar me nikalne se pehle allah tala se ham allah ki btai hui dua ko padh kar ghar se nikle .

Safar Ki Dua Ki Ahemiyat

Jab bhi koi shakhs safar par nikalta hai, toh usko Allah se apni hifazat aur madad ki dua karni chahiye. Safar ki dua insan ko hifazat mein rakhti hai aur uske liye asaniyan peda karti hai. Is dua ko padhne se musafir ko safar mein pareshaniyon se bachne ki tohfe milti hain. Isliye, har musafir ko safar ki dua ki ahmiyat samajhni chahiye aur ise rozana apni rahein mein shamil karna chahiye.Safar ki dua ki ahmiyat allah subhanahu wa ta’ala ki  rehmat aur ajmat hoti hai .aur allahsubhanahu wa ta’ala  ki raza shamil hoti hai. Aur hamari hifazat hoti hai .

Safar Ki Dua Aur Uska Meaning

Allahumma anta as-sahibu fi’s-safar, wal-khalifatu fil-ahl. Allahumma inni a’udhu bika min wa’itha’is-safar wa kaabatil-munqalib, wa min al-hauri ba’dal-kaufi, wa min da’watil-mazlum, wa min su’il-manzari fil-ahli wal-mal.

Safar Ki Dua Ka Tarjumma:

a allah , aap safar mein hamare aur hamare ghar walon ke liye nigahban hain. Ya allah main aapki panah chahti hu safar ki mushkilat se , wapas aane ke baad ke gham se , imaan ke baad kufr se ,  majboori mein aap ko pukarne se , aur maal ya ghar walo par koi bura haal aane se .

Safar Mein Dua Parhne Ka Tarika

Agar hum safar par ja rhe ho toh hame ye hona chahiye ki hame sabse pehle safar ki niyat kar leni chahiye .  jab ham ghar se nikle to  ghar se nikalne ki dua parhni chahiye. sawari par jab bethe tab sawari par parhne wali dua parhe.aap chahe to khusisi dua kar sakte hai ki aapka safar mukammal ho. Allah subhanu tala aapka safar hifazat se guzre .

Safar Ki Dua Ki Fazilat

Safar ki dua ki kafi sari fazilat hai musalman  allah ki panah me aa jate hai . Allah ki raza shamil ho jati hai . Safar ki dua ki fazilat yeh hai ke yeh musafir ko Allah ki hifazat aur rahmat mein le aati hai. Is dua se safar ke dauran aafat aur mushkilat se bachat hoti hai. Rasool Allah (SAW) ne is dua ko padhne ki talqeen ki hai, taake musafir Allah par tawakkul karte hue apne safar ko mehfooz aur asaan banaye.

Safar Ki Dua Aur Hadith Mein Hidayat

Quran aur hadees me safar ki dua milti hai .jisse aap sallallahu alaihi wasallam ne padne ka hukum diya hai .  aur rasool pak sallallahu alaihi wasallam bhi wahi dua ko safar me nikalne se pehle ye dua padha karte the .to hame bhi chahiye ki ham aapke di gai hukum per Amal kare aur jab bhi safar per jaye tho Safar ki dua kar liya kare .

Safar Ki Dua Ki Barkat

Safar ki dua me kafi tarah ki barkat hai maslan ham Allah se mangte hai ki Allah tala hamari safar achi kare to ham allah ki aman me aa jate hai . Dorane safar me ham allah se apne hifazat ki dua karte hai toh allah tala hamari safar me hifazat farmata hai.

Safar Ki Dua Se Aman Aur Sukoon

Agar ham safar ki dua padh lete hain toh hum Allah ki aman mein aa jate hain. Aur agar koi cheez Allah ki aman mein aa jaye, to us cheez ke bare mein kisi bhi tarah ka fikar nahi hota. Isse ye sabit hota hai ki safar ki dua karne ke baad hum aman aur sukoon mein aa jate hain. Jaise safar ki dua humein aman deti hai, waise hi Khane Ki Dua padhne se humare rizq mein barkat aati hai aur hum Allah ki hifazat mein rahte hain.

Conclusion

Nateeja ye hai ki safar ki dua musafir ke liye niharat aham hai ye dua allah ki hifazat me aane ka zareeya hai jo safar ko meghfuz barkat se bhara aur asan banati hai safar se pehle ye dua padhna zaruri hai .taki ham allah ki rehmat aur panah me rahe . Iss dua me musafir pareshaniyo se mehfuz rehta hai aur uska safar aman aur sakoon se guzarta hai . har musafir ko iss dua ki ahemiyat samjh kar apne har safar me isse zaroor shammil karna chahiye .

Jude
0 POSTS

Read More